Hindi movie : Devar
Remix Singer : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Guzara zamaana bachpan ka
Hay re akele chhod ke jaana
Aur na aana bachpan ka
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Woh khel, woh saathi woh jhule
Woh daud ke kehna aa chhule
Hum aaj talak bhi na bhule-2
Woh khwab suhaana bachpan ka
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Iski sab ko pehchaan nahin-2
Yeh do din ka mehmaan nahin-2
Mushkil hai bahut aasaan nahin-2
Yeh pyar bhulaana bachpan ka
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Milkar royen, fariyaad karen
Un beete dino ki yaad karen
Aye kaash kahin mil jaaye koi-2
Yun meet puraana bachpan ka
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Guzara zamaana bachpan ka
Hay re akele chhod ke jaana
Aur na aana bachpan ka
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim
Mas Videos
Aaya hai mujhe phir yaad woh zaalim guzara zamaana bachpan k Canal: Music
Uploaded: November 30, 1999 at 12:00 am
Autor: drkchaudhry
Length: 03:36
Rating: 3.67
Vistas: 3125
Tags: Aaya Chaudhry devar hai hindi India mere mujhe phir taraane woh yaad zaalim
Video Comentarios